Adsense

Wednesday 12 October 2016

Satyam Shivam Sundaram Lyrics - Lord Shiva Bhajans

Ishwar satya hai
Satya hi Shiv hai
Shiv hi sundar hai
Jaago uth kar dekho
Jeet jyot ujaagar hai
Satyam Shivam sundaram, satyam Shivam sundaram

Satyam Shivam sundaram, satyam Shivam sundaram
Raam avadh mein
Raam avadh mein, kaashi mein Shiv kanhaa vrindaavan mein
Dayaa karo Prabhu, dekho inko |2|
Har ghar ke aangan mein
Radha Mohan sharanam
Satyam Shivam sundaram

Ek soorya hai
Ek soorya hai, ek gagan hai, ek hi dharti mata
Dayaa karo Prabhu, ek bane sab  |2|
Sab ka ek se naata
Radha Mohan sharanam
Satyam Shivam sundaram

Satya hi Shiv hai, Shiv hi sundar hai, aah aah
Satyam Shivam sundaram, aah satyam Shivam sundaram

No comments:

Post a Comment